yun seher hoti hey apni her aik raat ke baad
Jaisey mosam koi badalta hey barsat ke baad
Mein uss ke husn ke mehwar mein ulajhta hi gaya
Jo baat keni thi yaad aai mulaqaat ke baad
Samajh mein aai mohabbat to sherminda huwey
Jazba-e-fart- e-janoo shiddat-e-jazbaat ke baad
Simat hi jein gi saansein jo bikhri bikhri hein
Sanbhal hi jaey ga dill terey eltifaat ke baat
Meri nazar ab kisi chehrey pe tteherti hi nahi
Meri nigah ki teri nazar se mulaqaat ke baad
Ghamon ki zad mein na aaey kaarwan-e-hayat
Kizan na dekhey koi baharon ki soghat ke baad
Ay khuda kashti-e-umeed na ho gharqab kisi ki
Mustaqil de khushi dard ke lamhaat ke baad
Mumkin Nahi wo tujh ko bhool jaey sabat
Kaisey tootay ga taluq barson ke sath ke baad
Sunday, 10 February 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment