Friday, 29 February 2008

Ye sila mila hai mujhko teri dosti ke pechey

Ye sila mila hai mujhko teri dosti ke pechey

Ke hazaro gham lage hain meri zindagi ke pechey
Mujhe Qatal kar na dalay teri Qatilana nazrain

kahein Qatal ho chokay hain teri ek nazar ke pechay
Meri aanso'n pe essay na aanso zamane walo'n

Koi raaz to chupa hai meri be-basi ke pechay
woh ameer hain to honge main gharib hun to kiya hai

Woh mehel bana rahein hain meri jhonprhi ke pechay
Nahi sang or mujhe mein koi fark ab raha hai

Main sarapa bhuj gaya hun teri aashiqi ke pechay
Ye hawas hai ya muhabat ke battak raha hai humraa

Kabhi es gali ke pechay Kabhi os gali ke pechay
Na utthaye ka jabeen ko tere sang-e-dar se "Ishrat"

Woh kaha'n kaha'n na phoncha teri bandagi ke pehcay
Ye sila mila hai mujhko teri dosti ke pechey

Ke hazaro gham lage hain meri zindagi ke pechey

No comments: