Usay anjan raston se guzar jane ki khwahish thi
Mohabbat mein amar ho jane mar jane ki khwahish thi
Wo kehta tha jeewaan teeragi hai
Aur hamein is teergi mein rung bharne hain roshni ke
Aur ye humko mukhtasir se chund lamhe jo mayasser hain
Ye lamhe hamein mohabbat se abad karne hain,
Kisi ko door se dekhna hai aur kisi se baat karni hai
Jahan ye din guzar jain waheen pe rat karni hai
Wo kehta tha mohabbat ka koi mausam nahi hota
Ye har mausam ka jazba hai jo kabhi kum nahi hota
Mohabbat ko naye dhub se basar karne ki khwahish
usay shab bhar jagati hai
Najane kaunsi chahat usay har pal rulati hai
Shanasa tha par har aik se bahut anjan rehta tha
Bahut abaad tha lekin bahut weeran rehta tha
Usay har shakhs ko hairan kar jane ki khwahish thi
Mohabbt mein amar hojane mar jane ki khwahish thi
No comments:
Post a Comment