Abhi aapke bajuon mein, jakdna baki hai
Sukhte labon ke kampan ka, tadpana baki hai;
Jindagi her taraf lage, mahkati huyee nayee
Uas lamhe ko sang peena, abhi baki hai.
Bekrari to khumari ko badhati hai, nayi baat nahin
Bikhar kar bekhudi mein, simtnaa baki hai;
Sulagti hai kayee ummeedein, naye roop mein
Ummeedon ko saja kar, dahknaa baki hai.
Koshish hai ki kabhi fursat mein, milein do dil
Aahton mein mile jo khanak, use parkhnaa baki hai;
Bade haule se dastak hoti hai, dil ke darwaje per
Abhi kaliyan hain chahat,unka khilna baki hai.
Jara si jhankar per Dil to machal jata hai, sabka
Waqt ki dhoop mein rangon ko, dekhna baki hai;
Khinch raha Dil aapki ore, belagaam hokar aub
Baloo ki chamak hai ya pani, jharne ka bahanaa baki hai.
Friday, 1 February 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment