Tuesday 26 February, 2008

Jindagi -

Jindagi - Jindagi se kya pati hai
Jindagi - Jindagi ko ghula jati hai;
Kashmahkash se na mile nizat
Jindagi - Jindagi ko rula jati hai.

Ret ke pahad si, rahti hai khadi
Ret ki aandhiyon se, jhuka jati hai;
Ret si fisalti rahti hain, jindganiya
Ret ki sarsrahat mein, bula jati hai.

Jindagi Diya hai, Jindagi Baati hai
Jindagi ki roshni, andhera sula jati hai;
Jindagi hai, jajbaton ke samandar
Bulbulon sa uthati hai, bhula jati hai.

Aap ko jindagi na kahoon to kahun kya
Mohabbat hi, jindagi hila-dula jati hai;
Pyar ke ouphar mein aey yaar lipat ja
Tujhe hi dekh kar, jindagi ga jati hai

No comments: