Jis simt bhee dekhoon nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahan ye koi tum saa hai ke tum ho
Ye khvaab hai khushbuu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saaya hai ke tum ho
is deed ki saa-at main kai rang hain larazaan
main hoon ya koi aur hai dunya hai ke tum ho
ye umr-e-gurezaan kaheen theh-re to ye jaanoon
har saans main mujh ko yehi lagata hai ke tum ho
har bazm main mozu-e-suKhan dil zad-gaan ka
ab kaun hai shireen hai ke laila hai ke tum ho
ik dard ka phaila hua sehra hai ke main hoon
ik moaj main aaya hua darya hai ke tum hoa
abaad ham aashufta saron se naheen maqtal
ye rasm abhi shehr main zinda hai ke tum ho
ai jaan-e-'Faraz' itani bhi taufeeq kise thi
ham ko gham-e-hasti bhi gavara hai ke tum ho
No comments:
Post a Comment