Kitney dino se aankhon mein bey kaar parey they
Dekha Tumhein, khushi mein nikal aaey ye aansoo
Warna to ham pe kiya kiya qayamat nahi guzri
Rootti rahi hey apney muqadar se har khushi
Khud se bhi kadey waqt mein chupaey ye aansoo
Khud se hi bant tey rahey apna har aik gham
Khud ko bata ke apna dukh kiya dil ka bojh kam
phir dilk ki be basi per, muskuraey ye aansoo
Yadon ke khayaban mein andhera nahi kiya
Shab hogai, terey baad sawera nahi kiya
Ham ne charagh-e-dil mein jalaey ye aansoo
Ankhein sarab si rakhein, sehra nazar rakhi
Har shama teri yaad ki teewar-o-dar rakhi
Aur ghoont ghoont dil ko pilaey ye aansoo
Ab tum miley ho jaesey ke dunya hi mil gaei
Dil ki kali bahar ban ke khoob khil gaei
De ker sadaey tum ko bulaa laey ye ansoo
Friday, 1 February 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment