Palkon mein chchupaye to, bol de aankhein
Dil mein basayein to, chugalkhor hai baatein;
Din mein poochchati hain, kayi nigahein pata
Aur fursat mein khoob, sataati hain raatein.
Khud mein khud ko liye, khudbudi si ho rahi
Bada julum kiya pyar ne, aah se mil gayi aahein;
Mujhe pareshan dekhkar bhi, ruke na muskrahat
Bulati hain mahfil mein, isharon mein faila bahein.
Kabhi kahti hain, dekho, ijhar na karna kabhi
Hoti raheingin gahe-bagahe, yun mulakatein;
Isque hai, chah hai ya ki, mahaj khinch jana hai
Nahin maloom fir bhi sabr, bandhta nahin bandhein.
Mohabbat hai ya ulghan hai, chchupana daman hai
Ishque bhi nahin asan, karni pade kayi karamatein;
Magar ees daur ki khwahish ki, bekrari mein sab doobe
Tairnewale hain tairte, anjane karein mujh si baatein.
No comments:
Post a Comment