wo buchpan ki kahaniyan,
wo shararteen,wo shytaniyan,
chor aye hum,pardes ko ane wale
apne des ki galeeon main,
wo pehroon dhoop main phirna,
wo uchal uchal ke gana,
wo nani amma ki bateen,
wo chand sunehri rateen,
wo jugnooeeon ki shamat,
wo titleeoon ka pakrna
wo tofeeon pay lrna,
wo tarah tarah ki bateen
sab yaar sangi baili.
chor aye hum,
pardes ko ane wale
apne des ki galeeon main,
wo eid shabrat ki rasmeen,
sath rehne ki sab kasmeen,
wo college ka zamana,wo slybus,
wo kitabeen,wo parkoon main jana,
chat pay patang urana,
dostoon se mastiyan ,
wo burgeroon ka khana,
wo germeeon ki subheen,
wo serdeeon ki shameen,
chor aye hum,pardes ko ane wale
apne des ki galeeon main,
wo bare miyan ki bateen,
naseehatoon ki sogateen,
wo kacha paka angan,
wo ghar ki sab dewareen,
wo chireeoon ki chehkareen,
wo neeeem ki thundi chaoon,
wo sersoon peeli peeli,
wo ugtay sabz botay,
wo bagh aur bahareen ,
chor aye hum,
pardes ko ane wale
apne des ki galeeon main,
No comments:
Post a Comment