Friday 29 February, 2008

musaafir ke raste badalte rahe

musaafir ke raste badalte rahe muqaddar me chalna tha chalte rahekoyi phoul sa haath kaaNdhe pe tha mere paaNv sholon pe chalte rahe mere raaste me ujaalaa rahaa diye us ki aaNkhon ke jalate rahe wo kya tha jise hamne Thukara diya magar umr bhar haath malate rahe mahobbat adaavat wafaa beruKhii kiraaye ke ghar the badalte rahe sunaa hai unhe bhii hawaa lag gayii hawaaon ke jo ruKh badalte rahe lipaT ke charaaGon se wo so gaye jo phoulon pe karavaT badalte rahe

No comments: