Sunday 3 February, 2008

Na Chemistry Hoti Na Love Hota

Na Chemistry Hoti Na Love HotaNa Chmistry hoti na main Student hotaNa ye Lab hoti Na Ye Accident HotaAbhi Practical main ayee nazar Ek LarkiSundar thi Naak Us ki Test Tube JaisiBaton main Us ki Glucose ki Mithas thiSanson main Ester ki Khushboo bhi sath thiAankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka PyaarBin Piye hi ho jata hai Alcohol la KhumarBenzene sa hota tha Uski Presence ka EhsaasAndhere main hota tha Radium ka AbhasNazrain mileen, reaction huaKuch is tarah Love ka Production huaLagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aiseNucleus ke charon taraf Electron hon jaiseUs din hamare Test ka Confirmation huaJab us ke daddy se hamara Introduction huaSun kar hamari baat wo aise Uchal pareIgnesium Tube main jaise Sodium Bharak utheWo bole, Hosh main aao, Pahchano apni AuqatIron mil nahin sakta kabhi Gold ke saathYe sun ker Tuta hamare Armanon Bhara BeakerAur ham Chup rahe Benzaldehyde ka Karwa Ghoontpee kerAb us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na thaAur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na thaZindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki TarahAur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah

No comments: