Friday, 29 February 2008

Mai chalta musafir tha

Mai chalta musafir tha, mujhay kia wo keh gain
Pal do pal ka sath tha, or sadiyaan guzar gain

Wo chandani raat main meray kafilay may thi
Mujh say sharam k maray thora fasilay pay thi

Jhukki nazar ki wo ada katil, na mujh say poch
Uthi nazar to taroon ki halchal, na mujh say poch

Ankhain thin oski yaan thi koe jannat ki nishani
Jaisay khuda nay likh di meri qismat ki kahani

On ankhoon ki ghehrai may kamooshi ka samaa tha
Khamoosh samander may doub jaanay ka mann tha

Is qadar kashesh thi on roshan nighahoon main
Chup jata kash oski palkoon ki panahoon main

Nazrain millin, zalim ada nay kuch aaisa tarpaya
On kajrari ankhoon ki qasam, ek pal na so paya

Os raat mai, on mast nighahoon main kho gaya
Pal do pal main raat katti, yunhi din bhi ho gaya

Suraj ki kirnoo main wo chamakti hoe Ankhain
Ghayal mera dil kar gain wo hasti hoe Ankhain

Nazroon mai oskay noor per Ankhoon mai tapish thi
Khenchay thi apni oorh mujahy, kuch aisi kashesh thi

Ankhoon say haal-e-dil sunna kar, jo wo gai
Nazroon main jab samai to, rastay mai kho gai

Dekha kisi nay jab meri ankhoon main ek nazar
Paaya tujhay to bolay, phir say dekh ek nazar

Dil aaj bhi is dar say anssu meray pee jaay
Ek akks hai Ankhoon may tera, wo na beh jaay

Khuwaboon mai bhi, tera pata pochta hoon mai
Loogoon k chehroon main tujhay khojta hoon mai

Dekhi thi hum nay jheel si Ankhoon mai khumari
Peetay ab-talak yaad main, Ankhoon say tumhari

No comments: