Monday 18 February, 2008

Khalayoun main sitaarey jaagtey hain

Khalayoun main sitaarey jaagtey hain
zameen par dukh hamarey jaagtey hain
Kuraido naa hamaari raakh logon
abhi gham k sharaarey jaagtey hain
muqaddar kis tarah soyey gaa mera
abhi meray sahaarey jaagtey hain
abhi bheeg jaayain aansooun say
aankhoun k kinaarey jaagtey hain
tumhain hum dhoondtey phirtey hain
farhat muqaddar tou tumhaarey jaagtey hain!!

No comments: