Friday, 29 February 2008

tujhey yaad na dila saka

tujhey yaad na dila saka, ke tujhey kabhi na bhula saka
tera samney mera haal tha, per tujhey nazar na aa saka
huwi shab tamaam ter taveel teri yaad jab baras pari
kisi ashk ki phuwar sey mein dil ki aag naa bujha saka
teri tarb-e-naz o sarisht mein, mera zakhm tha hara bhara
ke maseeha ho key bhi juz merey kabhi kaam tu na aa saka
mujhey eztarab-e-zest mein tha tera guman surur saa
jo teri nazar se pee gaya wo khumar mein na bhula saka
hey ankh num usey dekh ker jo chaman sehra ba-kuf huwa
mein uttha key aasman sey koi abr-e-tar naa laa saka
tu chalaa jo haath tham ker, mujhey jeeney ki huwi aarzoo
terey chaar din key saath ko mein umr bhar na bhula saka
tu gaya to meri zeest key sitaarey sarey hi bujh gaey
terey baad taq-e-dill pe mein, kabhi ek diya na jala saka
teri qurbaton mein fasley simat rahey they har gaam per
tujhey kho key phir Sabat kabhi ek qadam naa uttha saka

No comments: