Khalayoun main sitaarey jaagtey hain zameen par dukh hamarey jaagtey hain Kuraido naa hamaari raakh logon abhi gham k sharaarey jaagtey hain muqaddar kis tarah soyey gaa mera abhi meray sahaarey jaagtey hain abhi bheeg jaayain aansooun say aankhoun k kinaarey jaagtey hain tumhain hum dhoondtey phirtey hain muqaddar tou tumhaarey jaagtey hain!!
Devmukund
dosto jindagi main jo kuch gahatnayi hoti hain insaa unko labjaun main bayan kartai. aise shaks bhaut hi julm sehne wale hotey hain. dosto aaplogon ko yeh mera aakhri razrana. khuda hafizzzzzzzzzz
devmukund
AAJ KI RAAT BARI DIL NASHIN RAAT HOGI
TUM CHALE AOO KE MAAH HO ANJUM KI BARAT HOGI
JASBE ULFAT KA HAI IMTHAN MULAQAT HOGI
GOYA TUMHARE ISHQ MAIN SARI KAYNATH HOGI
ANJUMAN DILO KI SAJI HAI AAO KOI BAT HOGI
AAJ KI RAAT BARI DIL NASHIN RAAT HOGI
ABTO CHARCHE HONE LAGE HAIN GALI GALI MAIN
JHANDE RUSWAION KE GARD CHUKE HAI APNI BASTI MAIN
HAMARI ASHIQIE KA ANJAM HAI BAS DEEWANGI MAIN
CHALO DEEWANE BAN KE DIN GUZAREIN AB ZINDDGI MAIN
AAB IBTADA TO DEKHLI KIYA INTEHA MAIN INAYAT HOGI
AAJ KI RAAT BARI DIL NASHIN RAAT HOGI
HUMSE WADA TO KARTE HAIN AUR MUKAR JATE HAIN
GAIR KE PAHELOO SE HAS HAS KE GUZAR JATE HAIN
HUM TARAP TARAP KE KHUD GUM SE SAWAR JATE HAIN
JAB HUM DIL KO SAMJHANE UNKE KARIB JATE HAN
DAR HAI KHIN BHARAM NA HO WARNA AFAT HOGI
AAJ KI RAAT BARI DIL NASHIN RAAT HOGI
Friday, 22 February 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment