Saturday 9 February, 2008

Sooraj ke chehre per

Sooraj ke chehre per,
jab nisha ke kesh lahraye
Makhmali chaal mein,
tab shokhi liye sham aaye;
Kabhi lahre, kabhi uljhe,
to yun khisak-khisak jaye
Dupatta bawari hawa si,
asman ko chumne dhaye.
Tan-man bansuri ban kar,
man ki gaagari bhar kar
Suron ki ragini mein dhalane ko,
man hi man harshaye;
Koyee ek nayan shyam sajan ho,
aah ki jatan ho
Gile hothon ki chchuwan se,
ras madhuri bahaye.
Jindagi ke kai chal hain,
kuchch jee ke janjal hain
Chalte-chalte rahon mein,
sham aise gungunaye;
Hatheli se chchupa honth,
hansi ko daba loon main
Badi shatir hai dhalti sham,
bekhudi mein budbudaye

No comments: