Sunday 3 February, 2008

Suno acha nahi hota

Suno acha nahi hota,
yuunhi besabab bikhar jana,
sab ke rubaro ho kr,
na kio guftago krna,
suno acha nahi hota,
sochoon main khoye rehna,
jaggey main soye rehna,
dil ka jalana b,
udass akheeon main,
ansoon sojoye rehna,
gam ka chupana b,
suno acha nahi hota,
kisi ajnabi ki khatir,
yuun gamgeen hona,
gosha nasheen hona,
sadmoon main jiye jana,
zheroon ko piye jana,
khud ko majboor rakhna,
matam yuun kiye jana,
suno acha nahi hota,
ksi ajnabi ki khatir,
apno ko chor dena,
taluk hi toor dena,
khawaboon main base rehna,
saraboon main base rehna,
suno acha nahi hota,
apne ghar ki fazaoon ko,
kisi ajnabi ki khatir.
yuun magmoom rakhna,

No comments: