Friday, 1 February 2008

Mujhey Aaram Karney Do

Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao Tum
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao Tum

Mairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna Tum
Mairey Khwaabon Mein Sehra Hain, Mujhey Abb Mat Rulaao Tum

Dukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri Hissa
Bohat Arsey Say Jaari Tha, Ussey Abb Mat Dohraao Tum

Mairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi Hai
Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hataao Tum

Mairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
Mairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Abb Mat Hansaao Tum

Tumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main Tha
Safhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao Tum

Kahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi Paani
Mujhey Jo Cheezein Bakhseen Thi, Ussi Say Ghar Banaao Tum

Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Abb Aaey Ho To Ruk Jaana
Thakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao Tum

Bohat Mushkil Say Sambhla Hai, Ikk Arsey Baad Abb
Lo Abb Ye Jaam Ulta Do, Issey Abb Mat Pilaao Tum !

No comments: