Saturday, 2 February 2008

Kaash Khaabon Hi Main Aa Jao Buhat Tanha Hoon




Kaash Khaabon Hi Main Aa Jao Buhat Tanha Hoon

Ya Merey Zehan Say Yaadon K Diye Gul Kar Do

Merey Ehsaas Ki Duniya Ko Mitta Do Ham-Dam

Raat Taaray Nahin Aangaaray Liey Aati Hai

In Barastay Howay Sholon Ko Bujhaa Do Hum-Dam

Dil Ki Dharkan Ko Soola Jao Buhat Tanha Hoon

Aandheri Raat Main Jab Chaand Khilnay Lagtay Hain

Tumharay Pyaar k Deepak Jaala K Roota Hoon

Tumharay Aanay Ki Jab Aas Jaanay Lagti Hai

Main In Chiraaghon Ko Khud Hi Bujha K Roota Hoon

Zindagi Aisi Mitta Jao Buhat Tanha Hoon

Soochtay Soochtay Jab Sooch Bhi Mar Jaati Hai

Waqt K Qadmoon Ki Aahat Ko Suna Karta Hoon

Aashk Thamtay Hain Tu Aahon Ka Dhowan Uthta Hai

Raat Bhar Yohn Hi Tarapta Hoon Jala Karta Hoon

Baar-E-Gham Kuch Tu Ghatta Jao Buhat Tanha Hoon

No comments: