Meri daastaan-e-hasarat Wo suna suna ke roye
Mere aazamane Wale mujhe aazama ke roye
Koi aisa ahal-e-dil ho ke fasaana-e-muhabbat
Main use suna ke roun vo mujhe suna ke roye
Meri aarazu ki duniya dil-e-naatavaan kii hasarat
Jise kho ke shaadaman te use aaj pa ke roye
Teri bevafaaiyon par teri kaj_adaaiyon par
Kabhi sar jhukaa ke roye kabhi munh chupa ke roye
Jo sunai anjuman mein shab-e-Gam ki aap_biti
Kai ro ke muskuraye kai muskuraa ke roye
Kahein "Saif" Raste mein woh mille to un se kehna
Mein uddaas hun akele mere pass aake roye
No comments:
Post a Comment