Friday 1 February, 2008

Log kehtay hain k....

LOG kehtay hain k guftar yeh kam kertay hain
baat krtay hain magr soch k hum kertay hain
yeh jo insaan hai dushman hai zamany bher ka
meray MOLA hain jo bandon py karam kertay hain

Subah hoti hai to muskaan saja letay hain
raat hoti hai to hum ankh ko nam kertay hain
yeh to mumkin hi nahin khwab sabhi pooray hon
Sawan khwahish ko bhi taqdeer main zamm kertay hain..!

No comments: