Friday, 1 February 2008

Ghazal:

Ghazal:
Insaan kho raha hey qadar Zindagi ki ab
mehsoos ho rahi hey kami har Khushi ki ab
ye mera gham hey kiya, hein dukhi aur bhi bohat
kuch hawa dayar meinhey basi be Rukhi ki ab

aa ja ke iss hayat mein tu roshni ban ker
har subha tuloo hoti hey Teergi ki ab
mumkin nahi sabat ke ujaley kA guman ho
kuch shab taweel ho gai hey Be'basi ki ab.
by Saim Sabt……


GHAZAL
Poochta hey wo koi baar magar kuch to boley
kaisa dil hey ke koi bhed na apna kholey

dil zamaney mein ab koi tujh sa kahan
itna sada ke mohabbat ko wafa se toley

mein sach kehtey huway darta hoon
koi aansoo na tu palkon mein proley

abhi hey door kinara, hey toofan ka dar
hawa ke dosh per na baadbaan ho ley

tu merey dil ki sada hey, tu hi awaz meri
Sabat pathra ke sune tujhko agar tu boley.

By Sunil



manzil ki talab mein dost hosla darkaar hey
warna to do qadam chalna bohat dushwar hey


un ko her aik gham se bachana merey khuda
jin ko terey banaey huwey insaan se piyaar hey




GHAZAL:
Shab-e-furqat dhaley mein nahi chahta
Gham se fursat miley mein nahi chahta

Dil terey dard sehney ko tayar hey
Tu fasurda rahey mein nahi chahta

Ashk mujhko bahaney se mat rokye
Ab ye sawan thamey mein nahi chahta

Mein terey baad barbad hi tteek hoon
Dil kahein ab lagey mein nahi chahta

Mein terey husn ko dekhta reh gaya
Tu nazar se hatey mein nahi chahta

Apney rukh se ye zulfein hatao zara
Chand poora chupey mein nahi chahta

Ab merey lab pe hey khamoshi ka sakoot
Raaz pura khuley mein nahi chahta

Ab dua samjho issko ya tum bud dua
Tum ko mujh sa miley mein nahi chahta

Lo Sabat maan leta hey apna gunah
Tu dushmani pe tulay mein nahi chahta

By Sunil



GHAZAL:

Yun seher hoti hey apni her aik raat ke baad
Jaisey mosam koi badalta hey barsat ke baad

Mein uss ke husn ke mehwar mein ulajhta hi gaya
Jo baat keni thi yaad aai mulaqaat ke baad

Samajh mein aai mohabbat to sherminda huwey
Jazba-e-fart-e-janoo shiddat-e-jazbaat ke baad

Simat hi jein gi saansein jo bikhri bikhri hein
Sanbhal hi jaey ga dill terey eltifaat ke baat

Meri nazar ab kisi chehrey pe tteherti hi nahi
Meri nigah ki teri nazar se mulaqaat ke baad

Ghamon ki zad mein na aaey kaarwan-e-hayat
Kizan na dekhey koi baharon ki soghat ke baad

Ay khuda kashti-e-umeed na ho gharqab kisi ki
Mustaqil de khushi dard ke lamhaat ke baad

Mumkin Nahi wo tujh ko bhool jaey sabat
Kaisey tootay ga taluq barson ke sath ke baad

By Sunil



GHAZAL

Kis ne khatam kiya ye taaluq bahar ka
barg-o-shajar se baghban ke aitbaar ka

sad shukr teri yaad ne mera sath to diya
kitna kattin safar tha terey intazaar ka

tu sukhn-e-dil-o-jaanho, nazar ka qarar ho
cheda huwa ek raag ho merey dil ke taar ka

deewana lut gaya yahan kisi ke piyar mein
toota nahi nasha terey do din ke piyar ka

choomey gi nazar dil bhi karey gat era tawaf
har bar maaf kerna gunah dil-e-be qara ka

ye kiya sabat ghabra gaey tum mushkilaat se
ban jao saya dhoop mein shajr-e-saya dar ka
BY SAIM SABAT


GHAZAL

Simat hi jaey ga gham khushi ke daman mein
Tu chand ban ke utar ja merey angan mein

Terey anchal mein basi hey sitaron ki chamak
Jhalak rahi hey chandni terey daman mein

Husn ki aag mein taptey huwey lab-o-rukhrar
Shabab tera qayamat hey poorey sawan mein

Dil ke Veraney mein tu ban ke ujala aai
Samet laai baharein tu merey angan mein

Merey wajood mein rooh ban ke tu samai hey
Tu meri jaan hey tu merey dil ki dharkan mein

Terey firaq mein roya hoon paaglon ki tarha
Hey qarar dil ko jan-e- Sabat terey milan mein

by saim sabat



AANSOO- (Poem)
Kitney dino se aankhon mein bey kaar parey they
Dekha Tumhein, khushi mein nikal aaey ye aansoo

Warna to ham pe kiya kiya qayamat nahi guzri
Rootti rahi hey apney muqadar se har khushi
Khud se bhi kadey waqt mein chupaey ye aansoo

Khud se hi bant te rahey apna har aik gham
Khud ko bata ke apna dukh kiya dil ka bojh kam
phir dil ki be basi per, muskuraey ye aansoo

Yadon ke khayaban mein andhera nahi kiya
Shab hogai, tera baad sawera nahi kiya
Ham ne charagh-e-dil mein jalaey ye aansoo

Ankhein sarab si rakhein, sehra nazar rakhi
Har shama teri yaad ki teewar-o-dar rakhi
Aur ghoont ghoont dil ko pilaey ye aansoo

Ab tum miley ho jaesey ke dunya hi mil gaei
Dil ki kali bahar ban ke khoob khil gaei
De ker sadaein tum ko bulaa laey ye ansoo

By saim sabat



KAAFI

Har rang mein rakh rakh le
tu bhi apna husn-o-jamal
aisa ban ja, jiss ki jag mey
kam hi miley misaal

jag mein jeevan thhora hey
lekin iss ke badey janjaal
iss ki fikar kon karey ab
ho jaey ga jeena mohaal

jag ki reet nirali hey
iss ki ajab hey chaal
arz jawab sadiq aaey
aisa ker tu koi sawaal

boli apni piyar ki boli
nikhra nikhra apna khayal
sachey jazbey, sacha dil,
sachai hey apna maal

dard kisi ka bant sabat
mun ho jaey ga khsh haal
By Sunil





aey dost teri yaad mujhey ranj-o-malal dey
ye tera ghum kahein na mera na dill nikaal de
aa dost apney gham se daman mera bhar de
leker aasanyan, mujhey mushkil mein daal de
guzra her aik lamha qayamat se kam na tha
merey khuda mazi sa na ab mujhko haal de
aey dost har khayal tera azmat ka nishan tha
terey khuloos-e-dill ki sabat kiya misaal de
by sunil


kaisey tujhey dukh koi sehney ko chhor doon
kiyun na tery gham mein ankhein nichor doon
gar mera bas chaley, jo mujhey ikhtiyar ho
aati huwi qaza ko wapas mein mor doon.

apney har ek gham mein khushi gholti rahi
iss pur faraib dunya mein tu sach bolti rahi
daman mein liye apnay khuloos ki khushboo
her dil mein iltifaat ke dar tu kholti rahi

terey baghair dil bohat pur sog ho gaya
gham toot ke roya bohat, daman bhigo gaya
jag mein teri misal bohat kam hey merey dost
iss bheer mein dnya ki dost tu bhi kho gaya

aa merey dost phir se to apni sada liye
wo pur khuloos dil liye apni wafa liye
phir se har aik dil mein ujaaley utaar de
phir jeeney ki ada liye, ek hosla liye

By Sunil


Sayad dua kisi ki koi kaam ker sakey
iss teergi mein kaash ujala bikhar sakey
shayad ke ye charagh duaon se jal uttey
aur phir se wo khushi daman mein bhar sakey

merey khua sachai ka sachon ka sath de
ek doosray ki dil mein bohabbat to dal ker
insaanyat se arz -e-mohabbat ki talab hey
rotey ko hansa ker, girtey ko sanbhal ker




Ujaala

ho ker udaas jeeney ki adaa bhool na jana
wo hansti muskurati nigah bhool na jana

apney hi gham ka bojh uttata hey her koi
apney hi dukh ki dastan sunata hey her koi
jiss aainey mein dekho parehsan aks hey
apni hi fikr mein nazar aata hey her koi

tum ranj-o-alam kisi ka bhool na jana

dekho, ujala ban ker andheron ko mita do
bhatkey huwey ko tum manzil ka pata do
girtey ko thaam lo, kisi rotey ko hansa do
dekho kisi ki rahon se kanton ko hata do

dekho tum mohabbat ki sada bhool na jana
ho ker udaas jeeney ki adaa bhool na jana
samjho to bohat kuch hey, warna to kuch nahi
ye merey dil ka dard hey, ye meri sada hey.

mein apney hosley terey dil ki nazar karon
kuch na sahi tujh se mera dard ka rishta hey'



wo larki
Uss ko aadat thi yunhi dheray se muskuraney ki
Yaad kerney ki kabhi mujh ko bhool janey ki

Mein manaon to khafa aur bhii kuch ziyada ho
Mein roott jaaon tao phir mujhey mananey ki

Udasyun mein bhi chehra khila khila sa rakhey
Aur hanstey huwey apney gham chupaney ki

Kabhi ye kehna mera hath tham ker kay sabat
Qasam uttao mera saath tum nibhaney ki

Qasam uttao ke ham tum na ab juda hon gey
Iss mohabbat mein had se guzar janey ki

Wo dost hamsafar, wo sada dil si ek larki
Bichar ke bhool gai raah laot aaney ki

Wo jo kehti thi ankhon mein ansoo bhar ker
Kabhi koshish bhi na kerna mujhey bhulaney ki

GHAZAL:
Kabhi dhoop si rahi to kabi chaon si rahi
Apney naseeb mein bohat kam khushi rahi

Jalata raha charagh bhi jab tak they paas tum
Phir uss ke baad ankhon mein kab roshni rahi

Bikhrey jo rah mein to nazar sey hi gir gaey
Un ki nigah mein to bahat bey rukhi rahi

Barg-o-shajar ne chher diye geet piyar key
Do char din bahar kiya chamn mein basi rahi

Shayad wo aik bar palat ker sabat dekhey
Yun apni nazar der tak uss per lagi rahi



MAA
Kiya shajar tha merey aangan mein' jiska ka saya
har waqt dua ban ker merey sath saath rehta tha

yun dabey paaon huwa door wo rahat-e-jaan
jaisey khushboo gulabon se juda ho jaey

ujaala jaisey charaghon se juda ho jaey
wo jiska piyar dill mein basa rehta tha

jis ki furqat mein lut gaya hey mera jahan
mein jis ki ankhon ki ttandak tha jis ke dil ka qarar

wo jiss kay damm say meri zindagi thi misl-e-bahar
mein bohat piyar se jis ko maan kehta tha
…………………By Sunil


GHAZAL
Mein na janey konsey Nagar mein raha
Na koi Dost na dushman meri Nazar mein raha

Rah mein chor ker uss ne mujhey, manzil pa lee
Mein intazar mein uss ke kaday Safar mein raha

bijliyan koond gaein aashyan ek khuwab huwa
sakoot shehr-e-khamoshan sa Ghar mein raha

wo khud bhi toot gaya mujhko todney meins sabat
jissey bananey mein masroof umr Bhar mein raha
by sunil


GHAZAL
Seenay mein dill wafa ki aisii misal ho
Jis mein mohabbaton ka pura khayal ho

Shayad wo yad mein meri roya ho toot ker
Kashtii kay doobney ka ussey bhi malal ho

Kuch pal ko muntashir ho verani-e-jazbat
Dil ki khamoshi tod day koi aisi taal ho

wo samney ho, aur merey lab pe shikayat
merey khuda na kabhi meri aisi majal ho

Dil se laga ke rakh loon wo aaina mien sabat
Jiss mein merey sanam ka husn-o-jamal ho

By Sunil


rastey mein hi safar mera na kaam ho gaya
aaghaaz hii sabat mera injaam ho gaya.

ankhon se rok paaey na ashkon ka silsila
tu ne meri wafa ka ye kaisa diya silaa
do din ka piyar loot ke dunya hi le gaya
mujh ko to terei chaah ne rona sikha diya

kaisey kahon ke piyar mein badnam ho gaya.

jeena to kiya ke mot bhi dushwar ho gai
khud meri aarzoo mujhey aazar ho gai
tu ne to merey dil pe qayamat hi tod di
kahsti mohabaton ki toofan mein chhor di

jeevan ko piyar aakhri salam ho gaya.

apni wafaon ke diye teri rah mein rakhey
kanton pe bhi qadam teri chah mein rakhey
terey hi khuwab apni nigah mein rakhey
gham terey apni har aah mein rakhey

khud hi sar-ebazar mein neelam ho gaya.
mein zindgi ki doobti ek shaam ho gaya



Intazaar (geet)
Sitam kiya jo tera mein ney aitbaar kiya
tamam umr terey aaney ka intazar kiya
----------------------------------------------
Aa ke sun le zara merey dil ki sada
dekh terey siwa kon mera huwa
piyar ki mujhko kaisi mili hey saza
khuwab merey jaley dil mera lut gaya

log kehtey hein key bhool jaaon tujey
ye nahi ab merey ikhtiyar mein

ab mein kaisey sahoon is judaai key gham
dekh dil pe merey tootey kitney siteam
ab mujhey log tera deewana kahein
ab to aa jaa tujhey merey sar Qasam

dekh aa ker zara, aarzoo ke diye
jal rahey hein dil-e-bey qara mein

hasrat-e-dill, ki urti huwi dhool hey
dil mera jaisey masla huwa phool hey
dekh kaisey mera ashyan jal gaya
piyar jaisey meri ek badi bhool hey

dekhdil jal gaya, utt raha hey dhuwan
aag si hey lagi merey sansaar mein

dekh dil kis museebat se do chaar hey
teri furqat mein jeena bhi dushwar hey
aa ke sun le zaraa dard ki dastaan
tujh se hi zindagi mein qaraar hey

ab sada de mujhey, mujh ko aawaz de
jee raha hoon terey intazaar mein

No comments: