Friday 22 February, 2008

Tujhse Apni Mohhabbat ka Izhaar kiya hai

Tujhse Apni Mohhabbat ka Izhaar kiya hai, kya bura kiya hai,Aaine mai Tere Aks ka Deedar kiya hai, kya bura kiya hai,

Khuda ne baksha hai Tujhpar Apni Naimatton ka Khazana,
Surat-e-Aaftab Teri dekhkar Khud ko Fana kiya hai, kya bura kiya hai,

Khilate hain Phool aur lagte hain Phal Shaakh-e-Darakht pe hi,Humne Mohabbat ka Darakht lagaya hai, kya bura kiya hai,

Wo Teri Shokh Adaa wo Andaaz-e-Qatil, Mai-Khane mai Tere naam ka Zikr kiya hai, kya bura kiya hai,

Fiza-e-Bahar mai Humne bhi chaha hai ek Yaar Shiddat se,Uski Rehmat hai usne Humko Tumse milaya hai, kya bura kiya hai,

Ye to Izhaar-e-Ulfat ka Aagaaz hai “Mahreen”
“Sitaara” ne Tere Jalwa-e-Husn ko chaha hai, kya bura kiya hai,

Aata nahi hai Hume Nazam-e-Ulfat Bayan karma,
Phir bhi Bayan kiya hai, kya bura kiya hai,

No comments: