Friday, 22 February 2008

aaj us ki yaad ney reh reh key tarpaya bohat

aaj us ki yaad ney reh reh key tarpaya bohat
tha musafir dil ko jis s hajr ka saaya boaht

ret kaa ghar sar-e-saahil rahey gaa kab talak
dil na maana, deewaney ko samjhaya bohat

kiya khabar thi shabnum ki tarha ro jaey gaa
ab ke baras bhi abr ne hum ko tarsaaya bohat

dekhna dena nahi hathon mein kisi aur key
merey ashkon se tera anchal rang laya bohat

saaya-e-zulf hey qismat walon key liye
apney liye to hey faqat deewar ka saaya boaht

No comments: