Monday 18 February, 2008

Aaj badla badla sa nazara lagta hai

Aaj badla badla sa nazara lagta hai
Kiun aaj khuwab bhi, apna paraya lagta hai

Jaisay kuch kho diya ho is dil nay
Weran jangel sa kiun dil ka nazara lagta hai

Jaisay phool bhi bhool gaye hoon hasna
Mosam bahaar ka hai or khizaan ka lagta hai

Abhi to mojjoon nay sahil say dosti ki thi
Kiun gum-sum sa sahil ka kinara lagta hai

Kabhi jo do ghari bhi door na reh sakta tha
Kiun ajj milnay ko, akhari kinara rakha hai

Jo zuban naam pokaray bina na rehti thi
Aaj os nay naam hamara, paraya rakha hai

Meri har baat peh jo aitabar karta tha
Aaj kiun os kay sawaloon mai gilla lagta hai

Na parh saka jo meri soch parha karta tha
Janay kis baat peh os ko shobhah sa lagta hai

Jo milla mujh ko sada lafz mohabbat ban kar
Kiun aaj lafz wo ansuwon say mitta rakha hai

Meri beloss mohabbat ka sila mujh ko mila
Tera dil torr kar khud ko saza mai rakha hai

Meri sachai per elzam lagaya os nay
Mujhay aaj apni hi nazroon mai gira rakha hai

Na lout aanay ki os nay to qasam khai thi
Jany kia soch kar darwaza khula rakha hai

Qasoor kia hai mera koe mujh to batla dai
Kiun aaj saaye say apnay mujhay darr lagta hai

Kiun wo is qadar naraz ho gaya hum say
Jo humain apni jaan say bhi pyara lagta hai

Rooh mai bassay jisay rakha tha,
Zehan mai aaj kiun weham-o-gumaan sa lagta hai

No comments: