Sunday 3 February, 2008

Tod Do Khayali Bandhan

Jaise boondein bhar kar,
ghumadti hain badliyan
Jaise tadap kar girtin hain,
machalti huyi bijliyan;
Aaj mujhako bhi tum,
aisa hi kuchch kar jane do
Main likhoon ek nayi ghazal,
aur tum tarane do.
Jaise chaltin shokh hawayein,
mast magrur hokar
Jaise chalte juban per kisse,
mashhoor hokar;
Aaj apni wadiyon mein,
hasraton sang bah jane doEk nayi banayein kahani,
Hilms per chchap jane do.
Jaise barish mein hain chaltin,
kagzon ki kashtiyanJashn-e-tyohar mein jab,
nachati hain bastiyan;Aaj apni dhaar sang,
mujhako bhi khul bah jane do
Jashn-e-badan mein doobkar,
jismon ko nachane do.
Jaise sooraj ki kiran se,
khul jata hai soorajmukhi
Chandani mein samndar jaise,
todta hai apni jamin;
Meri nazron mein bandh,
jakhmon ko dhul jane do
Tod do khayali bandhan,
armanon ko khul jane do

No comments: