Saturday, 2 February 2008

kamal zabt ko khud bhi to aazmaon gi

kamal zabt ko khud bhi to aazmaon gi
main apnay hathoon say us ki dukhan sajaoon gi
supurd kar kay usay chandni kay hathoon main
main apnay ghar kay andhayroon main lot jaungi

Badan kay karb ko woh bhi samajh na payay ga
main dil main rooungi aankhoo main muskuraoongi
woh kia gaya kah rafaqat kay saray lutf gayay
main kis say rooth sakoongi kisay manaoongi

Abb us ka fan to kisi aur say hua mansoob
main kis ki nazm akaylay main gungunaoongi
woh aik rishta-e-baynam bhi nahi laykin
main Abb bhi us kay isharay pay sar jhukaoongi

jawaz dhoondh raha tha nai mohabbat ka
woh kah raha tha kah main us ko bhool jaoongi

No comments: