Friday, 29 February 2008

Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa

Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa

Shabnam k ansoo rawan thay us k

Dil tha us ka kuch bujha bujha sa

Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha

Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
Main nay ju dekha usay

Pass ja k pocha us sayKyon ha odas to?

Kyon kerta ha dil barbad to?

Kis ko kerta ha yad to?

Yeh sun ker who ronay laga
Shabnam k ansoo say moon dhonay laga

Or rotay rotay bas yeh kehnay laga

Mera yar mugh ko chor gaya hai

Mera pyar mugh say moon mor gaya hai

Ab main kis k liyay khil jaoon

Ab main kis k liyay khushboo mahkaoon
Mujhe kon apnay dil say lagaie ga

Mujh ko kon apni sansoon may basay ga

Mera chaman ojar gaya hai

Mera yar mujh say bichar gaya hai

Bas ab to her lamhay us ki yad hai

Bas baqarari hai, tarap hai faryad hai
Mujh ko koe meray yar say mila dai

Mujh ko koe mera pyar lota dai

Woh ayey ga tu khil jaoon ga mai

NApni zindagi say mil jaoon ga maiN

No comments: