Sunday 2 March, 2008

Ek lamha roshani ka

Ek lamha roshani ka, naya paigam de jata hai
Roshan rahe duniya, kayee naam de jata hai;
Apne-apne andhere se nikalne ki, karein koshishein
Jhuthi wah-wahi bhi, joshila jaam de jata hai.
Bahar ki majbooti to, kudrat ka pahnawa hai
Bhitar ka sannata, khamoshi ka iljam de jata hai;
Bahar se sab achcha lage, dekhein jo sachcha lage
Bhitar ka rista jakhm, kaun dekh yahan pata hai.
Hilms ek community, kami ko natini ban bahaye
Yahan ka her insaan, roj khoob nahaa jata hai;
Mohabbat khilkar kayee rangon mein, jhalke
Yahan ki masti mein, dard khoob sahaa jata hai.
Logon ke Dil mein jhankiye to, Mohabbat mile
Ek ki kami ko doosra, dhank yahan jataa hai;
Gile-shikwe yahan per, milte nahih dhoondhe se
Yeh digar baat hai ki, toofan bhi yahan ataa hai.
Aayiye mil kar chalein, khil kar hawa sa bahein
Koi fark nahin mulayam ya sakht, hanth ataa hai;
Samjhdaron ki basti mein, hil-mil kar chalte log
Aaj jo dhire chale, kal daud aage nikal jata hai

No comments: