Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi Teri Hi Yaad Main Gum Rahi Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai Jaise Chaahat Meri Kam Rahi |
Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar Apne Mehboob Ke Na Aane Par Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar |
Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main |
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan |
Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi Hota Nahi Humse Ishq Bayaan Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan |
Hum Bewafa Har Giz Na Thay Par Hum Wafa Kar Na Sakay Humain Mili Us Ki Saza Jo Khata Hum Kar Na Sakay |
Khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi jati hai Kadam chun chun kar rakhti ho kamar balkha hi jaati hai |
Mohbbat karna koi zulm nahi, Agar ki jaye usool se, Khuda ko bhi muhabbat thi, Apne rasoul se |
Hui hum se ye nadani, Kay teri mehfil mein aa baithe Ho kay zameen ki khakh Aasman se dil laga baithe |
Dil si cheez hai, dene ko hai de day Magar koi qabeel bhi to ho Hum to jaan de kay bhi khush hain Magar koi qateel bhi to ho |
Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka |
Ashq Mile To Pee Lete Hain Aap Kahe To Mar Jayen Hum Aap Kahe To Jee Lete Hain Hum To Hain Un Phoolon Jaise Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain |
Aisa lagta hai zindagi tum ho Main zameen par ghana andhera hoon Aasmaanon ki chaandini tum ho |
Ab koi aarzoo nahin baakee joostjoo meree aakhree tum ho Doston-se wafa ki ummeeden! Kis zamaane ke aadmee tum ho? |
Waqt Ke Saath Badal Jaaye Use Pyaar Nahi Kehte Musibat Se Jo Darr Jaaye Use Yaar Nahi Kehte |
Ab koi aarzoo nahin baakee joostjoo meree aakhree tum ho Doston-se wafa ki ummeeden! Kis zamaane ke aadmee tum ho? |
Ruth gya hai mujhko manane waala Ab koi nahi naaz mera uthaane wala Per jaane kya sonchta hai Yeh khula darwaaza Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala |
Humne kitni koshish ki unhe manane ki, Na Jaana Kaha se seekh li unhone Yeh Ada Zidd par utar jaane ki. |