Monday 3 March, 2008

Hum to faqat do lafz kahain

Hum to faqat do lafz kahain, jan churrah dain
Loogoon ki nazar-e-khas onhain sher bana dain
Hum to dewanay teray kalam k howay Fazil
Humain bhi apnay andaaz k kuch rang sikha dain

------------ --------- --------- --------- --------

Likhtay hain khub Sabat bhi apnay ahsaas ko liay
Parha jab onkay pyar per hum apnay pyar per ro diay
Hum bhi onheen ko khojtay yeh kis jahan mai aa gaay
Paya onhay is josh mai, hum apnay hosh bhi kho diay

------------ --------- --------- --------- ---------

Yeh sadagi say likhnay ka khayaal kis ko hai aa gaya
Kuch zikar cherrah to sadagi say yaad mujh ko hai aa gaya
Kuch pyar bhi chalka gaya kuch yaad bhi della gaya
Ek naam hai Aaweg ka saray Hilms peh jo hai chah gaya

------------ --------- --------- --------- --------- ---

Ek dost yahan khas hai, os ki har kalla khas hai
Os ki nazar mai dostoo, har likhnay wala khas hai
Khushiyan bekhrnay aati hai, har dil ko parhnay aati hai
Mahheen os ka naam hai, yeh naam bhi kuch khas hai

------------ --------- --------- --------- --------- -----

Wo aain to mehsoos hoon yeh ronaqain kuch khas hain
Wo jain to kuch baat yun meri ronaqain kuch uddas hain
Wo Madhur si ek aawaz hai jisay ronakoon mai milla dia
Kuch milli chulli si aawaz hai,os awaz mai bhi wo khas hain

------------ --------- --------- --------- --------- -------

Kabhi dukh bhari ek dastan, kabhi pyar ki omeed hai
Kabhi dostoon k dermayan, kabhi dorion ki jheet hai
Likhtay hain per kabhi kabhi, kuch khoe khoe si dastaan
Kiran kisii ko dukh na dai,osay dostoon say preet hai

------------ --------- --------- --------- --------- --------

Chuppa howa tha chand jaisay badaloon ki orrh mai
Chuppay Masood bhi kuch aaisy hi dunya k shor mai
Dekhaya apna dil khool k kuch is kalla k sath
Ek roshhan charagh bann gaya taarekion k door mai

No comments: