Monday 3 March, 2008

KHAWAB 0 KHIYAAL

Barsat ka tha muasam aur ajeeb tha samman
sham hone ko thi aur neelgoon tha assman


door se aatey hooey dikhtey they siah badel
sochta tha ghar puhnch jaaon baresh se qibal


mein tha khliyaan mein aur koi bhi tu nah tha wahan
nah thi koi esse kuttia sar ko chupa leta mein jahan


siyah badel aa ke cha gey aur pani laga tha barsne
kuch nazar nah aata tha aur charon taraf tha dhooan


barq chamak ke akhein chakachoond kar deti thi
jis peid ke neeche tha mein usper apsra rehti thi


garjata tha badel musla dhar pani laga tha barsne
esse mein akela tha aur mein tha laga darne


phir kissi ki awaz aai jesse phoot pade hoon jharne
awaz thi kissi larki ki woh aai thi kiya wahan karne


qheqha thi lagati woh arman thi anokhey jagati woh
apni shokh hansi ke sath pani thi barsati woh


aas paas thi kahein lekun dikhta koi bhi nah tha wahn
mein tha akela aur charon taraf tha phela dhooan


itne mein kissi ne mere shano per hath tha rakha
hole se kuch kah ussne kanon ne ras niya chakha


dar se kanp rah tha magar us ne yeh mujh se kah
teri muntazer thi kab se mein aur tu aaj tak raah bhatka.


dekha jo mein ne uski janab tu dekhta hi reh giya
khawab thi woh keh haqeeqat sochta hi reh giya


missal thi woh hussan ki essa husan nah dekha tha
khiyal tha woh mera khiyalon ko khojta hi reh giya


husan mein kamal thi uski shokhi bhi laziwaal thi
lagti thi apni si per iss duniya ki woh na behr hal thi


siyah ghataon ki terh geele uske baal they
kashmeiri sebon jesse shurkh uske gaal they


darbar hussan mein ba adab mein khada tha
keh usne kamal ada se ki mujh per shokh nigah


apni hasti bhol giya essa mein marhoob hoa
esse mein us se mein ne mangi ussi ki panah


kanp raha tha badan mera aur larzta tha seena
jab ankh khuli meri tu jism tha paseena paseena


ab ehsaas hoa khawab mein dekha tha woh nagina
sawan nah tha decembar ka tha woh maheena

No comments: