Sunday 2 March, 2008

Ghazal :

roo ba roo ho key bhi der perda ek hijaab sa heymeri nigah mein reh ker wo aik khuwab sa heydukh key kanton mein khoya nahi usaka jamalusey jis rukh sey bhi dekho wo ek gulaab sa heymisaal uski hey kum, husn-e-be misaal hey wouski masoom adaaon ka rang lajawaab sa hey

uskey jalwon ki kahaan taab merin nazron ko
chakak sooraj ki liye kashish-e-mahtaab sa hey

wo muskuratey to dil mein sitaar bajtey hein
wo khayalon mey bajtii dhun-e-rabaab sa hey

khumar us ki mohabbat ka dil pe chhaya hey
dil-e-mehkhana mein wo bhari sharaab sa hey

usey parhta hoon sabat apney naseeb ki surat
ke merey dil pe likhi wo khuli kitaab sa hey.

No comments: