Beeti baaton ko, kandhe per uthaye chalna
Aaj ko chchod, chalte kadmon se dhalna;
Waqt ko kaun mod paya hai, aub tak yaro
Aap sikandar hain, aap ko hai aage badhna.
Kitabon ke pannon mein, motiyon ke har hain
Jinhein sab dekhte hain, kyon dikhaya karna;
Aaj ke dard mein. koyee baat to hogi nayee
Naye hum hain, naye se kyon ghabraya karna.
Wo baatein aur thin, halaat bhi juda hote they
Aaj se jud kar, kyon na aaj ki baatein karna;
Kitabon ke tarannum se na judega taar aaj ka
Nayi rahein, nayi saasein, nayi mulakatein karna.
Suniye aaj ek Dil ne Dil se baat kahi hai, sabse
Purani shayri ko salam, naye se jud ke hai rahna;
Aapke sang chalne ka irada, caravan ka hai, magar
Khud se likhye, Hilms ki shayri ko hai jame rahna.
No comments:
Post a Comment