Monday 3 March, 2008

Akeley hone ka gum kar raha hai

Akeley hone ka gum kar raha hai
aankhon ko apni nam kar raha hai

gila karta nahi hai dusmanon ka
azizon ka hi matam kar raha hai

ayengey sada khwabon main tumhare
wada aaj ye gum ka raha hai

wo ekrar-e-wafa kartey to kaise
yeh baatain ek ham-dam kar raha hai

jhele karam hamney unkey hi khatir
sitam wo ham par hi kar raha hi

rounak hi runak ho chaman main teri
dua-yain wo lub-e-dum kar raha hai

khamoshi, saadgi bhujhti si aankhain
musalsal hi sitam wo kar raha hai

No comments: