Friday 28 March, 2008

Ussay meri chup nay rulaa diya

Ussay apnya farda ki fikar thi

wo jo mara waqif-e-haall tha
wo jo us ki subh-e-urooj thi

wohi mera waqt-e-zawal tha
mera dard kaisay wo janta
meri baat kaisay wo manta

wo to khud fanaa k safar may
tha ussay rokna bhi mahaal tha,
kaahan jao gya mujhay chor kar main pooch pooch kar thak gaya

wo jawab mujh ko na day saka wo to khud sarapa-e-sawal tha
wo jo uss kay samnay agaya woh roshni main naha gaya

kiya ajab hayat-e-husn tha kiya ajab rang-e-jamal tha
dam-e-wapsi usay kia huwa na wo roshni na wo taazgi
wo sitara kaisay bikhar gaya wo to apni misaal app tha,
meray saath lag k wo ro diya mujah faqat itna wo keh saka
jissa janta tha may zindagi wo tu sirf wehm-o-khayal tha,
wo mila tu sadiyo k baad bhi meray lab pe koi gilaa na tha

Ussay meri chup nay rulaa diya jisay guftugoo mein kamaal tha
.