Monday, 24 March 2008

Ankhiyon se chalayein, pyar ki Goli

Ankhiyon se chalayein, pyar ki Goli
Rangon mein lipat, aayi phir Holi;
Goriyan machalein, ban chand-chakori
Aashqon ne bhi sajayi, apni-apni Toli.

Yeh haseen mauka hai, ijhar ka
Yaar se milein, aur karein thitholi;
Mohabbat ki gagri mein, saja rang
Doob kar Gori sang, banein humjoli.

Rang ka tyohar hai, pyar hi pyar hai
Bhula gile-shikwe, bolein mithi boli;
Rang ke tarang mein, geet hum gayein
Aaj sabki bhar jaye, pyar se khali jholi.

Uthiye rang lekar, kiska intzar hai
Gale mil jhoomiye, mitr ho ya saheli;
Chahton ke rang mein, bhinge tan-man
Baras bhar na bulein, khelein aisi Holi